Monday, April 17, 2006

na jii bhar ke dekha...

na jii bhar ke dekhaa na kuchh baat kii
Bashir Badr

na jii bhar ke dekhaa na kuchh baat kii
ba.Dii aarazuu thii mulaaqaat kii

ka_ii saal se kuchh Khabar hii nahii.n
kahaa.N din guzaaraa kahaa.N raat kii

ujaalo.n kii pariyaa.N nahaane lagii.n
nadii gunagunaa_ii Khayaalaat kii

mai.n chup thaa to chalatii havaa ruk ga_ii
zubaa.N sab samajhate hai.n jazbaat kii

sitaaro.n ko shaayad Kahbar hii nahii.n
musaafir ne jaane kahaa.N raat kii

muqaddar mere chashm-e-pura'ab kaa
barasatii hu_ii raat barasaat kii

No comments: